Reporter Kishan comes to take the interview of famous July Baba. Baba's assistant replies on behalf of Baba. As Baba is having his Maun Vrat ..
Reporter Kishan: Baba Jee Aapka Naam Julaai Baba Kyun Hain?
Madhu Sudan: Bete, babajee duniya se bore ho jaate hain es liye apne manoranjan ke liye apna naam har mahine badal te. Peechle Mahine Enka Naam June Baba.
Reporter Kishan: Madhu Sudan Jee. Toh Babajee Har Din Naam Kyun Nahin Badalte?
Madhu Sudan: Correction Jee. Mera Naam Madhu Hain Aur Main Sudan Se Hoon. Mera Naam Madhu Sudan Nahin Hain. Bhakton Ko Kasht Na Ho Esliye. Vaise veh apne middle naam yaane ki baap kaa naam har din badalte hain, din ke hisaab se. Jaise aaj sri babajee ka naam Julai Somvaar Baba Hain.
Reporter Kishan:Kamal Hain, toh aap ke bade bhakt hain.
Madhu Sudan:Haan sab log baba ke bhakt. Baba chamatkar joh dikhate hain.
Reporter Kishan:Kaisa Chamatkar
Madhu Sudan: Es saal joh baarish hui woh baba ke aashirwaad se hui
Reporter Kishan:Kya baat karte hain , baarish toh honi hi thi. Weather department toh 4 mahine pehle kahan tha.
Madhu Sudan: Haan esliye ki baba ne advance mein aashirwaad diya tha.
Reporter Kishan:Aur Kya Karte Tumhare Baba?
Madhu Sudan: Baba khud ke muh se apna taarif nahin karte. brochure padh lo. paise hain naa. bahar kharid lena.
Reporter Kishan: Toh Baba ke ashram main koi cheez free kyun nahin hain.
Madhu Sudan: Esliye ke logon ko yeh pata chale ki free kuch nahin hota. sab cheezon ki keemat hoti. baba har ek message dena chahte hain.
Reporter Kishan: Baba Ki Umar Kitni Hain.
Madhu Sudan: Tum Guess Karo
Reporter Kishan:40 years.
Madhu Sudan: Kya close guess kiya hain. Baba ki umar hain 540 saal. ek dum close guess kiya apne. kya meditation vagaira karte ho?
Reporter Kishan:Mujhe baba par yakeen nahin hain.
Madhu Sudan: Tumhare editor sahab ko hain. agar pragati ke path par chalana chahte ho toh tumhare swami jahan par vishwas rakhte hain wahan par tum bhi rakhon. kyun?
Reporter Kishan:main samajh gaya. babajee ki jai!
Madhu Sudan:Poore magazine bhar babajee ki kirti chapana. Kyun
Reporter Kishan: Ha Ha Jaroor. Woh Babajee Bhavishya dekhte hain.
Madhu Sudan: Haan hum batate hain. Kuch der pehle tak tumhare saare grahan utle the. Par jaise hi tumne baba mein apni shraddha dikhai sab theek ho gaya.abhi jaao ati shigrataha article chappon.